Friday, November 25, 2022

Lehrein

Zindagi ke samundar mein
Yeh leherein
To aati jaati rehti hai
Kuch hame khushiyon ki unchayion tak le jaati hai
Kuch hame udaasiyon ki gehrayion tak le aati hai
Een lehron se uppar utth kar
Apna nazariya badalna seekho
Lehron ka brahm parakhna seekho 
Sach ko apnaana seekho
khud se rihaa hoke
Baadalon mein udna seekho


Saturday, November 12, 2022

Tu kahaa hai aaj kal

shaayari
Tu kahaa hai aaj kal chupi hui si?
Reh gayi hai tu gum sum si
Chandni raat mein bhi tu humein milti nahi
Jab teri zaroorat hai to tu kyu aati nahi
Humaara dard le jaati nahi?

Friday, October 28, 2022

Open mic - incorporating Bhaav-natya

 Work in progress, trying to incorporate elements of Bhaav-natya (mudras, expressions) into my poetry. Here are two poems written on moonlit nights. 


Kal raat ka chand 🌝

https://www.instagram.com/reel/CkD9MI9DZiG/?igshid=YmMyMTA2M2Y=


Ek Aadat

https://www.instagram.com/reel/CkD_7tFDGxc/?igshid=YmMyMTA2M2Y=

Sunday, July 10, 2022

Recital at Starlight square

Grateful for the opportunity to perform among talented artists at the Subdrift Mela, a lovely community event showcasing South Asian voices. 🙏🏼


Tera intezaar 



Kal raat ka chand / Kya raaz chupa rahe ho

Wednesday, June 22, 2022

Tera intezaar

Subha se kar rahe the tera intezaar
Chai ke saath
Dost ke saath
Shaayari ke saath
Baadal bhi utsaahit ho rahe the 
Teri ek jhalak ke liye
Havaa bhi betaab ho rahi thi 
Tere saath jhoom ne ke liye
Shaayad tu aaj hume milegi nahi 
Humpe apna jaadoo barsaayegi nahi
Lekin tune humaari umeed nahi todi 
Thodi der lagaadi par tu ayi to sahi 
Itni barsaati hui aayi 
Kitni saari baatein karti hui aayi
Tip tip tip tip tip
Jharmar jharmar
Voh meethi khushboo le aayi 
Khubsurat jaga ko aur madhur bana diya
Teri boondon ki aahat ne 
Mehfil ko roshan kar diya 
Dil khol diya 
Mann bhar diya 
Mausam badal diya 
Aur phir teri khaatir humein 
  yeh kavita likhni padi 



A rainy day at the Boston public library 



Monday, June 20, 2022

Recital at the Kabir festival

What an honor to perform at the Kabir festival. Was immensely grateful for the opportunity to take the stage among wonderful singers, musicians and poets celebrating that beautiful light of Sant Kabir Das 💕

Here’s to Love and Light, and the Truth within.




Sunday, June 12, 2022

Ek jaan pehchaan si lagti hai

Ek jaan pehchaan si lagti hai

Par aap to kitni alag si duniya se hai

Ek jaan pehchaan si lagti hai

Par aap to humaare sheher se kitne duur rehte hai

Ek jaan pehchaan si lagti hai

Par aapki kahaani humaari kahaani se kitni anjaani si hai

Ek jaan pehchaan si lagti hai

Par hum dono ki zubaan aur sanskruti kabhi ek nahi ho sakte hai

Ek jaan pehchaan si lagti hai 

Par humaare dharam aur karam kabhi mil jhul nahi sakte hai

Phir bhi ek jaan pehchaan si lagti hai

Vo dil ka safar 

Vo khud ki khoj

Vo sach ki khoj

Vo bechaini

Vo apno se duuri 

Vo judaai ka dard

Vo bichdi hui yaadein

Vo akele mein rona 

Vo seemaon ko par karna 

Duniya ghoomna

Anokhein logo se milna 

Anokhein anubhav karna

Samaaj ki samaj se baahar

Zanjeero ko todna 

Vo likhi hui takdir ko badalna 

Khud ko paar karna

Kala ko apnaana 

Khud ki raaha par chalna 

Dil ki raaha par chalna 

Haan

Ek jaan pehchaan si lagti hai

Sunday, May 22, 2022

Open mic recital

 

Open mic recital at Subdrift Boston, May 2022. 

Kal raat ka chand 




Kya raaz chupa rahe ho



Friday, April 15, 2022

Ek aadat

Ek aadat si pad gaee hai

Khubsurat mausam mein bhi

Chaandni raat mein bhi

Phoolon ki girti aahat ke beech

Pakshiyon ke sunhere geeton ke beech


Yu tehelna unke beena 

Haath mein unka haath na hona 

Dil mein unki dhadkan ko na mehsoos karna 

Saason mein unki khushboo ko na paana 

Hoton pe unke hoton ki kami sehjaana

Unki guftuguu ke bagair khaamoshi ko apnaana 


Ek aadat si pad gaee hai

Unki baahon mein giraftaar na hoke,

 voh sukoon se ajnabi banjaana 

Unki na-umeedi ko svikaar te jaana 

Tutti hui yaadon ko sahej te jaana

Ek khaalipan se dosti karte jaana

Ek udaasi ke saath aage badh te jaana

Yu hi akele zindagi guzaar te jaana


Ek aadat si pad gaee hai 

Khubsurat mausam mein bhi

Chaandani raat mein bhi

Kuch adhura sa rehjaana 




Saturday, March 12, 2022

Kab yeh aawaaz

Kab yeh aawaaz duniya tak pahunchegi
Kab yeh aawaaz dillo ko jagaayegi
Kab yeh aawaaz logo se milaayegi 
Kab yeh aawaaz khud ki pehchaan banegi

Kab yeh aawaaz sach ki saaz bankar gungunaayegi
Kab yeh aawaaz aazaadi ki khushbu phelaayegi
Kab yeh aawaaz pyaar ki roshni jalaayegi
Kab yeh aawaaz aman ki umeed dey paayegi 

Badal na chhatey hai duniya ko hum
Lekin khud ko badal nahi paatein hum 

Kab yeh aawaaz khuli saas le paayegi 
Kab yeh aawaaz saahas kar paayegi
Kab yeh aawaaz apni raaha par chal paayegi 
Kab yeh aawaaz khud se rihaa ho paayegi 

Tuesday, March 8, 2022

On Women’s day

Kyu tujhe ek hi din milta hai
Teri to hai yugo ki kahaani
Rago mein tu basi hai
Jannat mein dharti mein
Teri mohabbat jal ti hai
Duniya ghooma ti hai tu 
Pyaar mein mamta mein dosti mein
Vignyaan mein sangeet mein 
kala mein sanskruti mein
Kaanoon mein rajneeti mein 
Sab disha mein aage hai tu 
Tu hai roshni 
Tu hai paagal pavan 
Tu hai sukoon ped ki chaav 
Tu hai jwaalamukhi
Zulmo se ladne waali 
Naainsaafi ko nahi jhelne waali 
Shakti karuna antargyaani
Saagar ki gehraayi hai tu 
Sach ki daastaan hai tu 

Tu hai to hum sab hai 

Kyu duniya ne hame padhaai hai ulti kahaani
Tujhe sirf ek din ki ahemiyat deti hai meherbaani
Jab ki teri to hai sadiyon sadiyon ki qurbaani 

Saturday, March 5, 2022

Smoke and fire

Even as the world was already hurting,

You deployed your smoke and fire

To fulfill your desire

Power and fame

Is that your end game?

Wiping out generations with your shooting

Their stories their homes

Instead of uplifting you’re uprooting 

What will you gain

    From all their blood tears and pain

Won’t the emptiness in you

    still remain?

Fight your madness

Your fears

Don’t give in to your darkness

Isn’t the real war you need to win

    the one raging within? 


How can you take

What you break

How can you unite

With your dynamite

How can you proclaim

Spirits who roam free

Not giving in to your tyranny

Even if you conquer their buildings their cities

Their hearts will never give you any real victories


Don’t you see

What you seek is 

only that which will eventually flee

Your grave will never contain 

the riches the power the fame 

the conquered lands 

or the promise of tomorrows

But it shall be burdened

   by their pain 

their tears 

   and their sorrows 


Don’t you see

In trying to crush 

   their spark their light

You’re revealing not 

    your mighty might

  but rather your own 

    fractured inner plight 


Friday, February 18, 2022

Thursday, February 10, 2022

Waqt ka tohfa

Waqt ko kyu itna koste hai hum
Yeh waqt to hai ek dost ek hamsafar
Jo zakhm ko bharna sikhaata hai 
Kuch zanjeero se rihaa karna sikhaata hai
Phir se jeena sikhaata hai 
Phir se pyaar karne ki himmat deta hai
Phir se sapne dekhne ki ijaazat deta hai
Phir se Zindagi ka saamana karna sikhaata hai
Waqt dikhaata hai hame ke 
Abhi to dil mein aseem gunzaaish baaki hai 
Mohabbat karne ki gunzaaish baaki hai

Waqt deta hai hame
Voh imtihaan se guzarne ka tohfa 
Voh raat ko paar karne ka tohfa 
Ek kora kaagaz 
Jisme likh sakte hai dil ke naye alfaaz,
ek nayi daastaan,
apne sach ka ek aur sahiifa

Yeh waqt hi humme kaise 
    be-waqt hona sikhaata hai 


Friday, February 4, 2022

Ek nirdayee

Tujhe kyu itna raajya milta hai
Tu to badal bhi nahi sakta hai
Phir bhi logo se unka aaj cheen leta hai
Yeh pal unke haath se cheen leta hai
Unhe sunhere kal ko milne nahi deta hai
taaza nazaryein se naye sapne nahi dekh ne deta hai
Itna nirdayee kyu hai tu
Logo ke mann mein unke dil mein
Unke soch vichaar mein 
Kyu itni sakht zanjeere phelaata hai

Ab to E Ateeth,
Tujhe is sihaasan se paraajit karna hai
Khud ko teri ghulaami se rihaa karna hai 

Wednesday, February 2, 2022

Aisa kya hai tujhme

E Shaayari
Aaj kal tujhe to itna waqt bhi nahi de paate hum
Kuch pal kuch lamho me tujhe likhte hai hum
Raat ke sanaate me tujhse milte hai hum
Saara din jo duniyaa-daari me guzaar te hai hum
Aisa kya hai tujhme e Shaayari
Tujhe itna waqt na dete hue bhi 
Jo duniyaa se hum purey din ki thakaan le aate hai
Tu hi us thakaan ko mitta ti hai
Sukoon le aati hai 
Humein aazaad kar ti hai
Jeevit hone ka ehsaas dilaati hai

Friday, January 14, 2022

Sankranti pe ek rachna

Lohri ki khilti hui agni 
Se puraane ghaav ko kare alvida
Ab hai nayi baat jo rachni 

Ab to din bhi badh rahe hai 
Lambe ho rahe hai
Gham ki raat bhula rahe hai 
Nayi shuruaat naye fasal ki or jaa rahe hai

Uttarayan ki udti patang 
Hai laayi ek nayi umang 

Pongal ki ubalti mithaas 
Hai laayi ek nayi aas

Surya ka aabhaar 
Is dharti ka aabhaar
Yeh jeevan ek khubsurat dein 
Ab bonte hai isme pyaar 

Kya cheez hai tu?

E Shaayaari
Kya cheez hai tu?
Kya tu microphone hai
Ya phir ek mahfooz kambal?
Kya duniya se mulaakaat karaane waali aavaaz?
Ya phir duniya se chhippaa dene waali panaah-e-alfaaz?
Jo bhi hai 
Tu hai
Hum raaz dam-saaz 
Khuda-saaz 

Thursday, January 13, 2022

Sab kuch

Se kuch bhi nahi

Kya ho sakti thi 

Humaari kahaani

Kya reh gayi 

Yeh viiraanii

Tuesday, January 11, 2022

Amidst the somber winter skies
And the whims of covid cries 
Your words of humor brought to the Weary
Rays of sunshine and warm laughter highs 

Sunday, January 9, 2022

Voh dhadakte dil ki qiimat

Kya voh ziyaa-baarii din ki qiimat yeh amaavas ki raat hai?

Kya voh nuur-e-KHurshiid ki qiimat yeh bahr-e-zulmaat hai?


Kya voh muskuraahat ki qiimat yeh gham-e-hayaat hai?

Kya voh palko.n me khwaab basaane ki qiimat een palko.n ki barsaat hai? 


Kya voh chiraag-e-umeed ki qiimat yeh bebasi ki havaalaat hai?

Kya voh soz-e-dil ki qiimat yeh barf-e-saa’at hai? 


Kya voh ehsaas-e-jaan ki qiimat yeh dard bhare jazbaat hai?

Kya voh meetthi guftuguu ki qiimat yeh zakhmi Gazal-sifaat hai? 


Kya voh rut-e-milan ki qiimat yeh judaai ki saanehaat hai?

Kya voh himmat-e-farhaad ki qiimat yeh tanhaai ki kaa.enaat hai? 

Friday, January 7, 2022

Ek pal mein

Ek pal mein aap humein
Shiddat bhari shaayari likh rahe the
Pyaar bhare puraane geet suna rahe the 
Dusre hi pal mein aap humein
Khuda aafiz likh rahe the 
Ajnabee bana rahe the 
Een do pal ke beech voh kya hua
Apnepan aur paraayepan ke beech voh kya tha
Jisne chutki bhar mein humaare 
pairo ke neeche se zameen uda di
Saason se umeed gira di
Hridyay se dhadkan rukva di
Palkon se sapno ki neend gaayab kar di
Humein jagaakar 
Zindagi hi loota di 

Saturday, January 1, 2022

Galiyaan bhi aisi hoti hai

Galiyaan bhi aisi hi hoti hai
Andheri raat bhi aisi hi hoti hai
Eenme khud ko kho sakte hai
Eenme khud ko paa bhi sakte hai
Doraahe pe umeed dikhe ya bebasi 
Yeh bhi khud ki marzii hoti hai