Monday, September 23, 2019

Ek anokhi raat ki kahaani

Ek anokhi raat ki kahaani he yeh

Thodi filmy kahaani he yeh

Anjaan sheher mein do ajnabiyon ki mulaakat ki kahaani he yeh

Ek haseena aur
Ek paagal deewana
dono alag si duniya se aaye the
Barcelona metro ki geherayion mein ve miley
Badal station par unka parichit hua
Sooraj ki rangeen kirnon dwara dekh ti hui, Sagrada Familia ki विशेष unnchaiyon ke beech, unki dosti hui
Woh dosti legayi unko Casa Batillo ke dwaar par
Phir Gràcia ki galiyon mein woh chaley gaye
Vino aur vermouth ki duniya mein behey gaye
Lekin kitney alag the unkey swaad
Tapas bar mein Paagal ne khaaya octopus aur haseena ne khaaye aalu...

Lekin raat toh abhi baaki thi
Kitni sari baatein abhi baaki thi
Kitne sare lamhe abhi jeene the
Kitne anokhein लोगों के साथ अभी परिचय करना था
Woh Afghani mila jisne Hindi meh baat ki
Woh Ecuador ki kalakar se dosti hui
Woh waiter jo doctor nikla usne unko nayi disha di- “jao aap dhoondo apni rahey, la música taverna ki or!”

Aur phir se raat shuru hui
Lekin aab to thodi jaan pehchaan si lagne lagi thi
Anjaan sheher bhi thoda apna lagne laga tha

Phir woh pahunche España ke chhote se taverna par jaha ve
Spanish dhuno mein ghoom ho gaye
Bachata aur salsa ki taal mein jhoomein
Ajnabi logo ke saath naachey

Sab dooriya mitne lagi thi
Apni likhayi, sher aur shayaari
Apne dil ki awaaz
Dono thodi sun-ney (सुन ने) lagey the
Woh lamho ki aahat mein doobne lage the
Bhul gaye ke woh dono alag si duniya se the

Phir laal gulaab ki mehek ko lekar woh España ki sadkon mein chal pade
Beghar logo ko kuch sammaan dikhane ki koshish ki
Sevilla ke skateboarders ke saath masti ki

Woh anokhi raat, woh España ki sadkon woh thandi si hava woh khoobsurat pal sirf unke liye the

Phir paagal deewane ne haseena ko ghar pahunchaya.
ऊन beetein hue azaad lamho ko gale lagaaya
Us raat ko alvida kaha
Phir woh dono shaayad nahi मिलेंगे
Lekin yeh anokhi raat ki kahaani

Un dono alag si duniya ke do ajnabiyon ko Yaad dilayegi ki

Apne dil ki awaaz ko mat bhulna
Apni asli pehchaan ko mat chhodna
Pal mein rehnein ki himmat mat jhutana
Aur ajnabi sheher mein bhi logo se dil milaane se mat ghabraana

Ek anokhi raat ki kahaani thi
Thodi filmy kahaani thi
Ek anjaan sheher mein do ajnabiyon ki mulaakat ki kahaani thi

Apne aap se phir se milne ki kahaani thi









No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.