Friday, July 30, 2021

Yeh raat

Sitaare yeh raat ko visrat kar rahe hai
Jugnuo yeh raat ko chanchal bana rahe hai
Cicadas ki dhun yeh raat ko jagaa rahe hai
Sheetal hava raat ko sehela rahi hai
Kheto ki khushboo raat ko bhar rahi hai
Aur een sab ke beech
Waqt peeche rehe jaa raha hai
Samay teher sa jaa raha hai
Lekin humare dil ki dhadkane
Dheemi ho nahi rahi hai
Aapki yaadein jo yeh raat ko samet ja rahi hai


This night 

Starry skies
and fireflies
And the melodies of cicadas wake up the sleeping night
The soft winds caress the trespassers
Bringing them wifts of the fresh fields
Somehow here
Time has gone backwards
And then stood still
But amidst all this
my heart beats faster 
As your fragrant memories fill the atmosphere 
 drowning out the rest of the night

Thursday, July 29, 2021

Bade dekhe hai humne aapke jaise

Bade dekhe hein humne aapke jaise 
Jo khubsoorati ki tarif hi karte rahe 
Lekin khubsoorat aurat ke saath koyi nibha nahi pata 
Kafi darpok bhaag jaate hein
Aur phir hum khubsurati ke saath akele 
Rehein jaate hein 

Wednesday, July 28, 2021

Pehle rishto mein

Pehle rishto mein hum aadmi ko badal na chaahate the
Aap se mile to
Kuch badal na nahi chaahate
Hum to khud badal chuke hai

Aap mile to

Aap mile to 
Zindagi ki bhatakti raahein samaj me aarahi hai 
Woh bhatakna Nahi tha 
Jeen raho ne Humein aapse milaya 

Tuesday, July 27, 2021

Ab tak

Ab tak dil bejaan sa tha 
Khaamoshi ki buniyaad me chal raha tha
Aap mile to
Dil khil utha hai
Saalo ki be-zabaani ko paar karke
Apni gheraayion ko aawaaz dene lagaa hai
Aur shaayari par shaayari likhe jaa raha hai
ab to yeh dil itnaa arz karne lagaa hai
Ki doosron ki shaayari bhi bhulne lagaa hai
Lekin unn sab shaayaro ke dil ki pehchaan 
Voh ab samajh ne lagaa hai

Zindagi se humein shikaayat thi

Zindagi se humein shikaayat thi
Kyu humein akela choda
Lekin aap se milke
Yeh mehsoos hua
Ki aakhir mein yeh zindagi ka pyaar tha
Jo hamein aap hi ke liye akela choda

Monday, July 26, 2021

Kal raat ka chand

Apne bicchade hue kal ke baadal se
Chand puri tarah se nikal nahi paaya 
Aasmaan ko puri tarah se mil nahi paaya 

Shaayad vo baadal hi the
Jinkee parchhaayi ne 
Chand ko aur khoobsurat banaaya
Thoda chanchal aur sharmila sa
Thoda gupt aur saudhaan sa

Shaayad kal hum Chand ko
Samajhaayenge 
Ki baadal ke bina bhi 
Uski roshni aur chamak sakti hai
Aur vo 
Aasmaan ko bhi puri tarah se mil sakta hai