Wednesday, October 13, 2021
Saaya-e-muntazir rahenge hum (my first ghazal)
Tuesday, October 12, 2021
Chalo nachle hum
Naye logo se mulaakaat karley hum
Naye mausam ki mauj lele hum
Apno se nayi baatein rachle hum
Khud se naya pyaar jataale hum
Dard se naya rishta judley hum
Zindagi se naya naata baandhle hum
Jo raahe pukaarti hai uspe kudle hum
Apne gham ko apni taakat banaaley hum
Khud ke aatma vishwas ko pakadle hum
Aur dil ki nayi daastaan likhle hum
Badalte fasl mein bhi badle hum
Naye daur se mil ley hum
Chalo nachle hum
Phir se hasle hum
Naye sapne dekhle hum
Ek haseen raat: Raas, dost, aur taaro ke saath
Saturday, October 2, 2021
Ek chhota sher en cinq langues
Saaya-e-muntazir rahenge hum is tiira-shab ki raah-e-zulmat mein
Kyu ki aapke ke bagair na hai koi maqsad din ke ziyaa-e-ulfat mein
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
J'attendrai dans les ténèbres pour toi
Parce que il n'y a pas de point de lumière sans toi
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
For you I will wait in the shadows of the night
For without you
There’s no meaning to the days and the light
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
Raat ke andhere mein kar lenge intezaar aapka
Kyu ki aapke bina na hai koi matlab din ke ujaale ka
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
Raah joyish hu tamaara maate raat na andhkaar ma
Kaaran ke tamaara vina koi arth nathi divas na prakaash ma
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
Just enjoying this play of words in Urdu, French, English, Hindi and Gujarati 👆🏼