Wednesday, October 13, 2021

Saaya-e-muntazir rahenge hum (my first ghazal)

Saaya-e-muntazir rahenge hum is tīra-shab ki raah-e-zulmat mein
Kyu ki aapke ke bagair na hai koi maqsad din ke ziyaa-e-ulfat mein

Kaal-banjar ki viraaniii mein apne bār-e-gham se guzaara kar lenge 
Kyu ki koi mehr nahi aapke bina shaadaab-o-phulon ki rangat mein 

Basenge un qalb-e-hazii.n mein, un shikaste-ruuh ki saason mein
Kyu ki aap bin pheeke hain dil jo jeete hai khwaabon ki barkat mein

Un sunsaan galiyon ki yaas-o-hiraas mein aapki aas-e-niraas sahenge
Kyu ki aapke bagair na hai josh-e-dil Mahfil-o-jashn ki haraarat mein 

Dark-e-asfal ke iztiraab-o-dard ki geharaiyon ke ‘Shah’ ban jayenge
Kyu ki aapke bina na milegi raahat Firdaus-e-barii.n ki jannat mein

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.