Saturday, December 11, 2021

Shardi ka mausam

Yeh shardi ka mausam, yeh nange ped, yeh sukhi hui dharti, yeh barfili nadi
sab dheere se tumhe kehe rahe hai ki

Thoda ruk jao teher jao
Ab thoda so jao 
Aaram kar lo
Har waqt patiyaan ke bhoj uthaane ki zaroorat to nahi
Har waqt hariyaali ka sang ho yeh bhi zaroori to nahi 
Har waqt lehero ka hona zaroori to nahi 
Har waqt aage badh na zaroori to nahi
Har waqt kuch kar dikhaane ki zaroorat to nahi

Yeh shardi ke mausam mein sab kuch dheema padh jaata hai
To phir tum kyu dheeme nahi padh te?
Kya paane ke khoj me rehte ho har waqt?
Jaanwar bhi is mausam mein so jaate hai
Apne utar-jeevan ki khoj bandh karte hai
Dharti ke andar chup jaate hai
To phir tum kyu chalte jaa rahe ho
Kyu ruk nahi jaate thoda
So nahi jaate thoda
Apne andar ki gehariyon ko parak nahi lete zara 
Apne andhere ko waqt leke samaj te nahi zara 
Apne andar roshni ko dhundte nahi zara 

Baahar ki duniya se viraam lelo zara 
Apne sab bhikre hue hisse ko jud lo zara

Shaayad phir tum agle mausam mein 
Khil paoge 
Khubsurati se duniya ka saamna kar paoge 

Rukh jao zara
Teher jao zara
Aaraam kar lo zara 

Shardi ke mausam mein 
Apne aap ko dhundlo zara 

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.