Voh kya hai jo baaton ke beech hota hai par rehejaata hai ansuna
Voh kya hai jo nazaro ke ishaaro mein hota hai par rehejaata hai andekha
Voh kya hai jo khaamoshi mein hota hai par rehjaata hai ankaha
Voh kya hai jo hum dono mehsoos karte hai par rehjaata hai anchhua
Voh kya hai jo hum dono jaante hai par rehjaata hai anjaana
Kya kabhi maalum kar paayenge hum
Kya itni himmat judh paayenge hum
Kya nateeje ke boj jhel paayenge hum
Kya humme milegi khushiya ya phir gham
Voh kya hai een panktiyon ke beech
Voh kya hai een dhadkano ke beech
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.