Ek baadal ne dusre baadal se pucha
Yeh kya hai hamaari Zindagaani
Badal te rehte hai humaare roop rang
Puri tarah se kuch ban nahi paatey
Jaise ke woh nadi yah pahaad ko puri aakruti milti hai
Humaari kyu nahi hai sthir zindagaani, koi ek astitva nahi
Nadi ki ek disha hoti hai, aur uski saagar se milne ki manzil bhi
Hum to hava ke saath bhatakte rehte hai idhar udhar, koi ek disha nahi, koi ek manzil nahi
Humaara koyi ek thikaana nahi
Jaise suraj aur chand ke sthal hote hai
Humaara koyi ek ghar kyu nahi?
Surya bhi puri tarah se hum nahi samet sakte
Aur usko humne chupa diya to log naaraz ho jaate hai
Paani bhi puri tarah se hum nahi sambhaal sakte
Aur baarish hum barsaaye to log shikaayat karte hai
Surya ke to har roop logon ko pasand hai
Hum thode kya saavale ho jaaye to log udaas ho jaate hai
Chand ke saath hum luka chipi khele to bhi logon ko pasand nahi, unko to sirf us mah ki chamakti roshni se raaton ko sajaana hai
Taare chup jaaye humaare peeche yah hum pahaadon ko gher de to bhi log niraash ho jaate hai
Yeh kya hai zindagi humaari
Na idhar ki na udhar ki
Aisi adhuri hai yeh zindagi humaari
Phir dusre baadal ne pehle baadal se kaha
E humraahi
Yeh sab to nazaryein ki baat hai
Humaare badal te roop rang ne kalaakaaro ko prerit kiya hai
Chhote bacho ko behelaaya hai -unki kalpana mein hum kabhi ghoda kabhi mehel ban jaate hai
Koi ek pehchaan ke bagair hum aazaad reh sakte hai
Paahadon to ek jaga par hi ruke hue hai, nadi to ek disha mein hi jaa sakti hai
Hum to kahaan kahaan ghoom sakte hai har disha ka mahotva ley sakte hai
Hava ke saath jhoom sakte hai
Koi ek ata pata nahi is liye hum swatantra se duniya fir sakte hai
Chaahe log naaraz ho lekin hum unhe Surya ki kachi dhoop se bachaate hai
Thandi raat mein hum unhe kambal pehnaate hai
Badalte mausam ki chaitavni dete hai
Jo log registaan mein rehte hai unhe to humaare “saavale” roop bhi megha ki aasha dilaate hai
Haan hum paani ko pura samet nahi paate
Par humaari baarish logo ki fasal ko badha ti hai
Dharti ko sugandhit banaati hai
Mor ko nachaati hai, unke shaandaar pankh ka vistaar karvaati hai
Bache to is baarish mein khel kudte hai
Yeh mausam mein to parivaar ek saath chai aur bhajiye ke sang baatchit ke mazey karte hai
Aur premiyon to baarish mein aur kareeb aa jaate hai
Aur baarish ke baad hum Suraj ki kirnon ko aise phelaate hai ki
Swayam Indra ji unki dhanush ka pradarshan karte hai
Jo logon ko choka deti hai, rangeen sapne dikhaati hai
Jab hum chand ke saath luka chipi khel te hai to woh ek swaroop bhi aur rahasayapoorn dikhta hai,
Raat ko aur gahan banaate hai hum
Haan hum surya ko bhi pura samet nahi paate,
par har waqt me usey aur nikhaarte hai,
suryast aur udaaya mein hum aur adheek rang ke parte laate hai,
ek ek pal unke hum sawaar te hai
Hum to jadoogaar hai
Paani ko bhi aur roop dete hai
Jaise baarish yah baraf
Har mausam ke bhaav hum prakat karte hai
Sab tatvon ke saath humaara parichit hai - vaayu, agni, paani, dharti, yah aakash
Hum to us Aakash ko sajaate hai jiska koyi roop nahi
Saagar se bhi hum miltein hain
Unki boondein mein chipi gehariyon hum prithvi ke garbh tak pahunchaate hain
Phir bhi
Hum hai bhi to sahi hai
Hum nahi to bhi sahi hai
Aur humaare uppar havai jahaaj mein udhte hue logo ko puchon,
Pahaadon ki chotiyaan mein khadey hue logo ko puchon,
To voh to yahi kahenge,
Ki hum sab baadolon ke anokhein roop swaroop ek saath dekh te hue
Unhe to aisa lagta hai ki woh jagat mein aagaye
Khwaabon ki duniya mein aagaye
Aur suno e humraahi
Hum logo ko is duniya ki asthirta ki yaad dilaate hai
Unhe hum yeh kehete hai
Ki har waqt mein zindagi jeelo apni puri
Varna to sab kuch aata jaata rehta hai
Jeevan ke bhoj halke rakh kar unchaaiyon mein terna sikho
Badalte fasl mein badalna sikho
Koyi ek pehchaan ko apna ghamand mat banaao
Balki apnepan se dusro ki pehchaan ko aur hardik banaao
Ek ek lamha ko apna lo, zindagi jee lo har is pal mein
Waise bhi yeh pal, yeh lamha, yeh mausam, yeh aaj, yeh kal
Sab humaari thara guzarjaayenge
E humraahi
Zindagi bhi to sirf apne apne nazaaryein ki pehchaan hai