Aaj kal saans lene ki thodi mushkil hoti hai
Dil jo humaare seene mein tik nahi rehta hai
Aap jab gupt ho jaate hon
Dil ghabra jaata hai
Tutne ka phir se darr lagta hai
Dil jo humaare seene mein tik nahi rehta hai
Aap jab gupt ho jaate hon
Dil ghabra jaata hai
Tutne ka phir se darr lagta hai
Lekin ee dil tu sambhal ja
Teri sachaayi ka bayaan kitni himmat se tu kar deta hai
Garv hein humme apne is dil pe
Dusro ki jaise tu khel nahi khelta
Apne aap se jhut nahi bolta
Phir tutega to mujhe malum hai
Tu har waqt phir se judh jaata hai
Dheere dheere
Tu har waqt phir se aur sabal hota hai
Aur pyaar karne ki gehraaiyi tumme aur badh jaati hai
Ab to zindagi par thoda vishwas karo
Har dard bhari kahani leh aayi hai
Tumhe koi nayi raha tak
Koi nayi shuruaat tak
Ee dil sambhal ja thoda
Kitna garv hai tum pe
Apni sachaayi tu bataaye ja
Is pal meh rehke
Zindagi ki raha pe tu chal te ja
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.