Monday, August 9, 2021

Kaun gair hai kaun apna

Kaun gair hai kaun apna woh toh waqt hi bataayega.
Hamari-aapki kahani ki sirf shuruaat hai abhi 
Haan humare beech shaayari hai, sangeet aur kala ki sarhana hai, ulti seedhi baatein hain, dil ki dhadkane hai, 
Hasee aur mazaak hai
Lekin Milan se pehle yeh Jyot bhuj na jaaye is ka prayaas dono ko karna hoga 
Phir kitna lamba safar hai humara tumhara woh toh waqt hi bataayega
Kaun gair hai kaun apna woh toh waqt hi bataayega 

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.