Tuesday, August 31, 2021

Gubaara (w/ video recitation)

Sirf dil ki sunenge hum
Aisi nadaani baatein karte hum
Dimaak ki kahi na sunenge hum 
Aisa kaha karte the hum 

Magar e dil-e-nadaan 
Tu kyu itni jald banjaata hai gubaara 
Bhardeta hai isme 
Mehekte phool ki aashayein
pahaadon ki khwayishein
Aur unki chhotiyan ke uppar Baadalon mein basey hue khwabein
Surya ka udaya, uski kirne aur laalee tak bhi tu samata hai isme
Aur yeh gubaare ki udaan shakti ke balbute par
har Seema ko pyaar ke liye paar karna chhata hai tuu
Aasman ko chunna chhata hai tu
Taaro ke saath khelna chhata hai tu

Lekin aakhir mein hain tu ek gubaara 
 ek din 
Ek pin
Se phoot jaata hai
Baraste baarish ke aasu behene lagte hai
Samundar ki gehraiyon tak tera dard gunj ta hai 

Shaayad ab to dimaak ki thodi kar kadar 
Jo tumhe yeh dard se bachaana chahata tha
Shayad logo ki asli pehchaan usko thi khabar 
Aur woh karta aaya tumhe saudhaan
Lekin tune uski suni nahi e dil-e-nadaan 

Ab aage jaake dimaak se milkar 
Dil tu logo ko parak 
Unki sachai ko parak 
Unki imaandari ko azma 
Woh kya hai kya nahin 
Tu pehle malum kar

Na ban ja tu gubaara ka ghar
balki utpann kar
Tu khud ke par 
Apni dimaak aur ruh ki taakat ke sang 
Unhe khud tu udna sikha hai teri yeh jang 
Aur phir Pahaadon ki chhotiyan ke uppar baadalon 
Aur un baadalon mein basey hue khwaabon
ko khud ke buniyad bhare pankh se tu kar vistaar 
Aur par kaatne waale se na kar takraar 

Ab tu bada ho ja e dil-e-nadaan
Bann ja tu ab dil-e-hikmat-e-shahanshaan 


https://youtu.be/nVJ-s9eflbw




No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.