Tuesday, August 31, 2021

Do bathak

Do bathak 

Ek ruka hua

Dhoondta raha

Mehnat karta raha

Talaab ki andhiyaare mein doopki maarta raha

Kuch mila

Kuch nahi mila

Lekin uske khoj ke prayaas me

Talaab mein to pheli kaafi lahar 

Phir uska aage ka raasta bana nahi aasaan


Dusra bathak 

Kuch dhoondta nahi raha

Balki chalta raha 

Suraj ki roshni ke sang aage badh ta raha

Na talaab mein pheli lahar ki ashanti 

nirbaadh raha uska aage ka raasta

Talaab ne use dikhaaya raasta

Us hi me use kuch mila 

Kuch nahi mila

Woh sirf chalta gaya

Bahaav ke saath chalta gaya 


Kis bathak ki jeevan shailee 

Par hum anusaran kare

Na hai koi galat 

Na hai koi sahi

Sirf apne apne vikalpo ke anubhav

Ki hai yeh unki chhoti chhoti kahaani

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.