Sunday, August 29, 2021

Kya raaz aap chupa rahe ho (my first Urdu poem)

Zindagi aap se ishq karna chaahati hai
Be-intehaan Mohabbat ke phool barsaana chaahati hai
Lekin aap to zanjiir-e-gham se aazaad nahi ho paate hai 
‘Aalam-e-dard ko aap zindagi jo samaj behttey hai 

Aakhir kya raaz chuppa hai aapke 
Chasm-e-gham ke peeche
Aapke daastaan-e-zamaane ke zakhm ke peeche 
Aapke shakh-e-mohabbat ke peeche 

Thoda koshish kare o humaare sitam-zariif 
  aapke bār-e-gham ko tīra-shab ki gehraiyon mein chhodaaiye
Thoda humari taraf ek nigah kijye 
Aankhon ki ruhaani gehraiyon se rābta kijye
Shaayad aapko jeevan ki khoobsurati dikh jaaye
Chasm-e-Umeed-e-roshni dikh jaaye
Gardish-e-zamaane mein gulshan-e-azal-rubaa ka agosh ho jaaye
‘Aalam-e-Khuda ko pehchaan-e-zindagi maalum ho jaaye

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.