Monday, September 20, 2021

Bade arso ke baad

This poem was written at the start of the pandemic, during the lockdown in April 2020. 
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Bade arso ke baad kuch likhne ka mann kar raha hai
Bade arso ke baad kuch naya sikhne ka mann kar raha hai
Bade arso ke baad dillo se dil milaane ka mann kar raha hai

Bade arso ke baad hum hil gaye itna 
Bade arso ke baad hum jag pade itna 
Bade arso ke baad aasu itne bahey 

Yeh dil jo apni hi dhun mein khoya rehta tha 
Bade arso ke baad aaj khulne laga hai 
Pal mein rehna sikh raha hai
Chhoti chhoti cheez ka ehsaas kar raha hai 
Hamaari Ekta aur ekaant ta ka ehsaas dilaa raha hai

Ab to yeh chaar diwaar mein
Dil ki dhadkan sunaiyi deti hai
Saans ki aahat sunaiyi deti hai
Be-azaadi mein azaadi mehsus kar rahey hai
Apne zinda hone ka ehsaas kar rahey hai

Sab galatfemia ab ahemiyat nahi rakhti 
Khud ki bandhi hui zanjeere ab ahemiyat nahi rakthi 
Cheezo ki zarurart ab ahemiyat nahi rakhti

Jo khoya tha wo shaayad phir se dikhai de raha hai
Bade arso ke baad

Zindagi ki ahemiyat malum kar rahe hai

Bade arso ke baad 

Bade arso ke baad 

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.