Kitni saari baatein abhi karni thi aapke saath
Kitne saare puraane geet abhi sunne the aap ke saath
Kitne saare ghazals aur kala ka saraahana karna tha aapke saath
Kitne saare puraane filmo ki mauj leni thi aapke saath
Kitni saari jagah mein jaana tha aapke saath
Kitne saare Sapno ke sheher ke sundar nazaare dekhne the aapke saath
Kitne saare mazaak aur dillagi abhi karne the apke saath
Kitne saare afsaane baatne the aapke saath
Kitni saari shaayari abhi karni thi aapke saath
Kitne saare Chand abhi dekh ne the aapke saath
Kitne saare baarish ke din bahon mein guzaarne the aapke saath
Kitne saare suryast mehsoos karne the aapke saath
Kitne saare saagar kinare thelna tha aapke saath
Kitne saare jheel kinare benches pe betth kar macharo ka swaagat karna tha aapke saath
Kitne saare pahaado mein ghoom ho ja na tha aapke saath
Kitne saare bagiche mein, puraani filmo ki thara,
jhoomna aur gaana tha aapke saath
pedo ke beech luka-chhipi khelni thi aapke saath
Kitni saari raato mein milan karna tha aapke saath
Kitne saare khubsurat lamhe abhi bitaane the aapke saath
Kitni saari nayi yaaden banaani thi aapke saath
Lekin aap ko shaayad adhuri kahaaniyaan hi pasand hai
Aur hum reh gaye, akele,
een sab ankahiyaan ke saath
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.