Dil tu akela nahi
Tere liye hai
Yeh Vistaar aur Jahaan
Yeh Dharti aur Aasmaan
Yeh Sameer tere aasu samet legi
Yeh Ped aur unki jhoomti patiyaan tere dard ko gale lagaayegi
Yeh Zameen ki Mitti aur tinke tujhe dilaasa dengi
Yeh Nadi tujhe gyaan degi
Ki
Jeevan ko behene do
Bahaav me jaate raho
Lehero mein anubhav karte raho
Manzil-e-milan-e-Samundar ki raaha pe chalte raho
Yeh Aakash bhi tujhe salah dega
Ki
abhi baadal ruthe hue hai to kya
Unke peeche Suraj ki kirnen bhi hai
Baadal ka kya, woh toh aate jaate rehte hain
Suraj to har waqt haazir hota hai
Chahe raat ya din hota hai
Woh roshni tujhe raasta dikhaegi
Uski aastha mein tum chalte jao
Dil tu akela nahi
Jab itne saare hai tere humraahi
YouTube: https://youtu.be/8WOetl7nmsY
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.