Aap aaye to neend chali gayi
Aap gaye to neend lautaaye bina chale gaye
Aap gaye to neend lautaaye bina chale gaye
Aap aaye to chain chala gaya
Aap gaye to chain lautaaye bina chale gaye
Aap aaye to dil chura liya
Aap gaye to dil lautaaye bina chale gaye
Aap aaye to khwaab chura liye
Aap gaye to khwaab lautaaye bina chale gaye
Waise to aap duniya daari mein
Logo ki neend ki samasya duur karte ho
Unka khoya hua chain lautaate ho
Unke dil aur khwaab ko sambhaal te ho
Unhe raat ke andhere se kaise din ke ujaale tak le aate ho
Sirf humaari yeh sab kinti cheez lautaate nahi ho
Andhere mein humein chhod ke
Humaari sab umeed bhi chura kar chale gaye
Shayari ki prerna bhi chura kar chale gaye
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.